Aap sabhi jaante hai India me haalhi me Pandemic ke liye vaccine lagayi jaa rahi hai abhi 45+ ke Indian nagriko ko aur sath hi sath frontline workers ko Vaccine laga di gayi hai. Lekin 28th April 2021 ko India ke 18+ nagriko ke liye Vaccine Registration Process chalu kar diya gaya hai.
To aaj ke is Article me hum aapke saare doubt clear karenge aur batayenge ki aap kaise co vaccine registration process ko poora kar sakte hai.

Aap sabhi ko bata dun ki covid vaccine registration website ka naam hai Cowin.Gov.in iski help se aap apne liye vaccine ko register kar sakte hai.
To chaliye pehle covid vaccine registration india process jaan lete hai fir aapke man me jo doubt honge wo main aapko isi article me bataunga, fir bhi agar aapke man me koi sawal ho to aap neeche co win vaccine registration ke baare me comment box me puch sakte hai.
Vaccine Registration India in Hindi Process (covid 19 vaccine registration)
Step 1: aapko Cowin.Gov.in Website par jaana hai.

Step 2: aapko upar diye Register/Sign in Yourself wale button par click karna hai

Step 3: Aapko neeche di gayi pic ke anusaar page dikhega aapko yaha par apna mobile number daalna hai aur Get OTP wale number par click karna hai.

Step 4: Ab aapne jo bhi number daala hai uspar ek OTP (One Time Password) aayega aapne yaha par use daalna hai.

Step 5 : Iske baad aapko neeche dikhayi gayi pic ke anusaar page dikhega aapne Register Member wale button par click karna hai.

Step 6: Ab aapko Jika bhi registration karna hai uski detail neeche dikhayi gayi pic ke anusaar har section me bharni hai.
- Sabse pehle aap jo bhi document ka istemaal karna chahte hai use sabse pehle Photo ID Proof wale option me select kare – jaise Aadhaar card, voter id, Passport.
- Second option me aapko Photo ID number dena hai – agar aap upar wale option me Aadhar Card select karenge to aapko neeche Aadhar number daalna hoga.
- Ab aapko apna ya jiska bhi aap registration kar rahai hai uska poora naam daalna hai jo bhi document me likha hai.
- iske baad aapko Gender daalna hai – Male, Female ya Other
- iske baad aapko last option me Year of Birth yaani ki paida hone ka saal daalna hai.
- aur last me aapko Register ke button par click karna hai

Step 7: Ab aapka covid vaccine registration online india poora ho gaya hai aap iske baad member bhi jod sakte hai uske liye process same hai Step 1 se.

Step 8: ab aapko apni appointment book karni hogi uske liye aapko sabse pehle Schedule ke button par click karna hai aur click karne ke baad aapko neeche ek button dikhega Schedule Now aapne us par click karna hai.

Step 9: Ab aapko naye page me jaisa ki neeche di gayi pic me dikhaya gaya hai yaha par apne area ka Pin Code daalna hai, jis se aap jaan payenge ki aapke nazdeek kaha kaha vaccination kiya jaayega aur aap waha par apna appointment book kar sakte hai.

Note: lekin abhi aap appointment nahi le payenge kyuki abhi Hospitals ne 18+ ke liye Appointment open nahi ki hai.

to finally aapne registration complete kar liya hai.
zyada jaankari ke liye yahan click kare
ab aapke kuch sawal jo aapke man me aa sakte hai FAQ
What time does registration for vaccine start for 18+? matlab ki 18+ logo ke liye vaccine registration kab se start ho rahi hai ?
Registration 28 April 2021 se start ho chuka hai lekin abhi Appointment nahi le sakte.
agar aapka koi sawal hai to neeche comment me puch sakte hai.
Aap sabhi ko Vaccine zaroor lagani chahiye kyuki humare desh ke scientist ne bahut mehnat ke baad itni badiya vaccine banayi hai.
Be positive guys sab theek ho jayega, zyada se zyada registration kare aur is article ko share zaroor kare.
मैने कोरोना वैक्सीन नहीं लिया फिर भी मुझे टीकाकरण सर्टिफिकेट का मैसेज आया है तो क्या करे